Revenuehits

Thursday, 21 September 2017

BidVertiser se Paise kaise kamaye blog or website par

BidVertiser (A Division off Bpath,LTD) ek bhut purani PPC (pay par click) ki site hai jo 2003 me start hui thi Adsense ke lagbhg sath me. Me is post me bilkul bistaar se bataoga ki BidVertiser kya hai or kaise kya hota hai. isse phele ki aap is website se jude ye baate jaanna jaruri hai aapke liye.
Ham jaante hai ke Ads hamari websites or Blogs ke liye kitne jaruri hote hai paysa kamane ke liye. Me aapse khana chahuga ki is post ko padne se phele apne dimag ko thoda fresh kar le Q ki ye post thodi lambi hai. Me is post me puri kosis karuga ki aapke har sabaal ka jabaab aapko de saku is post ke end tak.


BidVertiser Kya Hai ?

BidVertiser alag PPC (Pay Par Click) network hai jo har bar visitor ke click karne par paysa deti hai jisse ham apni website ya blog par lagate hai.
Visitor agar ads par click karta hai or fir jo agla page khulta hai agar bo us page me interest leta hai matlab jo agle page me khulta hai – form ko fill karta hai, koi product leta hai to hamari commision hoti hai bo double ho jati hai. to hamesa chance hota hai double earning ka par bo visitor par nirbhar karti hai.

 BidVertiser Kaam kaise karta hai

Ye kuch tarike hai BidVertiser ke. jo usko  sabse alag karte hai.
  1. Jo Advertisers hote hai bo apni site ya blog ke promation ke liye BidVertiser ko Paise dete hai or khate hai ki hamari is site ka promation karo
  2. Fir BidVertiser uski site ko check karta hai or pir usko unki category me set kar deta hai.
  3. jab koi visitor unki website par jata hai to unki income hoti hai or usme se kuch commission BidVertiser ke pass aata hai.
  4. Publisher (yani ham) har mahine ki aakri tarik ko hamari commission hamare paas aati hai.

 BidVertiser Par Account ke liya kya-kya chaiye

Is par Publisher ke account ke liye ye hona jaruri hai,
  1. Ek Email ID: Is je jariye hi ham apne BidVertiser account me login kar sakte hai.
  2. PayPal Account: Hamari jo income hoti hai bo ham paypal ke jariye hi le sakte hai. Agar aapka paypal account nahi hai to ye post padiye – PayPal par account kaise banata hai
  3. Blog/Website: Blog ya website hona bhi jaruri hai q ki BidVertiser hame jo ad ke code deta hai ham bo inhi par lagate hai. Agar aapka koi blog nahi hai to aap bana sakte hai blogger par bilkul free. kaise banaye uski puri jaankari yaha par hai Free Blog/website banao

Payment kaise milti hai

Sabse achi baat BidVertiser ki ye hai ki iski sabse kam payment le sakte hai to jo naya account banate hai agar unki income kam hoti hai jabbhi bo apne paysae le satka hai. Ye kuch tarike hai Payment lene ke
  • PayPal – Kamsekam $10
  • Western Union – Kamsekam $100
  • Check – Kamsekam $100
  • Wire Transfer – kamsekam $10

BidVertiser ki Payment proof

ye company bhut dino se chal rahi hai or iske bhutse payment proof aap net par dekh sakte ho. ye raha mera payment proof

Image ko full size me dekhne ke liye Image par click kare
[alert-announce]Bidvertiser ab Free Hosted Site Supprt nahi karta, matlab agar aapko ads lagana hai to phele blog me domain add karna hoga[/alert-announce]

BidVertiser par account kaise banaye

to aap teyaar hai apni site ya blog par ads dikha kar Paise kamane ke liye. Account banane ke liye ye steps follow kare.
  1. BidVertiser ki site par jaye. Site par jane ke liye yaha click kare Click Here
  2. fir “Join Now – It’s FREE!” ki button par click kare
  3. ab jo form khulega usko sahi bhare
  4. Email id daane ke baad ek code aayega aapke account par usko bhi is form pr daalna hai conformation ke liye. Pura form bharne ke baad Continue ki button par click kare.
  5. Ab aapka BidVertiser account teyaar hai
Yaha par click karke apna account banane par account jaldi se approve ho jayega.
 to ab hamne BidVertiser kya hai or ham isse kaise Paise kama sakte hai ye jaana or apna account is par banaya.
Ab aap iske code ko copy karke apni blog ya website par daalkar apni income start kar sakte hai.

BidVertiser ka Code Blog par Kaise lagate hai

Ab ab aapka account to ban chuka hai. apna account me login kijiye. login karne ke baad in steps to fillow karo.
Is Image me jo number hai un ke bare me niche likhe hai
  1.  Add New BidVertiser par click kare
  2. Add New BidVertiser  under new domain par click kare.
  3. Ads ka Tital de. (Aap jis blog website par is ads ko dalna chate ho bo daale)
  4. Apne Blog ki URL dale
  5. Agar aap ka jo website hai agar usma main url agar or kuch hai to yaha apna link dale warna isko khali chod de.
  6. Apne blog ki bhasa chune jo bhi ho. agar hindi to hindi chune or agar English to english chune, ya koi bhi ho
  7. Apne Blog website ka categorychune ki aapka kis topic par hai.
  8. Eske baad yaha par or category aa jayegi un me se apni blog/website se jo samband rakhe usko chune. (Agar aapne galat catrgory chuni apni website/blog ke liye to uspar jo ads aayege bo aapki site par hai usse alag aayege, isliye sahi chune)
  9. Last me Finsh ki button par click kare. Ab aapki website to jud chuki hai BidVertiser pe.
  10. ab BidVertiser center par click kare
Agle page par aap dekege ki aapki site list me aa jayegi hai.
  1.  Aap apni site me alag alag size ke ads lagane ke liye uski sub categry banale. pichli process ko dorha kar.
  2. List me site ko select karne ke baad Chose Template ki button par click kare. ek popup page khulega usme se apne ads ka size chun le fir Update ki button dabaye.
  3. Get Ad Code ki button par click kare fir ek popup page khulega. uspar ek code hoga usko copy kare or apne blog par jaha aap chate hai bha paste karde.

Aage ham jaanege:

kaise apni income or badaye BidVertiser par or bhi nhut kuch….
Hamne Is post me ye to sik liys ki BidVertiser ka code kaise prapt karte hai par agar aapko bo ad ke code apne blog par lagane me agar koi dikkat ho rahi hai to aap muje bataiye. me apni agli post me puri step by step bataoga ki ad ke code ko site par kaise lagate hai.
Dosto ye jaankari aapko kaise lagi ya fir aapka koi sabaal ho aap comment ke jariye jarur bataye. Muje khusi hogi aapke vichaar jankar.

All USSD Code ki List [2017] Number ki Detail ke liye

Hello Friends Aaj thoda hatkat article hai jo abhi tak share nahi kiya gaya, Aaj ham baat karege USSD codes ki. USSD ka matlab hota hai Unstructured Supplementary Service Data. Duniya bhar me ham Mobile se jude rhate hai, SMSInternetcall ke through. Har Company ka alag alag USSD Code hota hai Number ki detail nikalne ke liye, ki kitna Balance, SMS, GPRS bagera hamare number par hai.
Me Aapko har Company ke USSD code batane wala hu jese Airtel, Aircel, BSNL, Idea, Reliance, Tata Docomo, Uninor, Vodafone, and Videocon. Insab ke Code sayad hi kidi ho yaad hoge to unki help ke liye.
Ye Kuch or Jaruri Jankari

Sabhi Company ke USSD Code ki List

AIRTEL USSD Codes ki List

Airtel me bhut se Code hai. Ye USSD Code ki List hai, in codes ki madad se aap Balance, Chalu or Band Services, SMS Plan, Offers, GPRS Offer, Recharge ki jankari pata kar sakte hai.

AIRCEL USSD Codes ki List

Is Aircel ki USSD Code ki madad se aap apne Number ka Balance, Offer, GPRS Data, Free Minutes or SMS ki jankari le sakte ho.

Ussd Code for BSNL Full List

In BSNL USSD Code ki madad se aap aone Number ka Balance, Data Pan, Local SMS, National SMS, Calls bare pata kar sakte ho.

Ussd Code for idea All Code

Idea USSD codes ki madad se aap apne Number ka Balance, Data, SMS, Calls, Gprs data bagera pata kar sakte ho.

Reliance USSD Codes ki List, Reliance Number Check

In Reliance USSD code ki madad se aap apna free Internet pata kar sakte ho, Caller tunes, Data pack, reliance number check,  recharge ki jankari pa sakte ho.

Tata Docomo USSD Codes ki List

USSD Code se aap apna Number bhi pata kar sakte ho. Apne Number ki puri jaankari, konsi service chalu hai, kitna valance hai or kitni validity hai sab kuch.

Uninor USSD Codes ki List

Uninor Codes ki madad se aap apne balance check kar sakte ho or apna SIM Card ka Number pata kar sakte ho.

Vodafone USSD Codes ki List

Vodafone user USSD Code ki madad se apna Number pata kar sakte hai. V2V night Minute, Free SMS, Calling Balance, Free Minutes, Chalu servies ki jankari, best Offer, bouns bagera pata kar sakte ho.

Videocon USSD Codes ki List

Vedeocon me jada USSD Code nahi hai apne number ki jankari pane ke liye. Inka Sirf ek hi Code hai.
Ye Lijiye Sari Company ke USSD Codes aap List me dekh sakte hai or apni kisi bhi company Airtel, Aircel, BSNL, Tata Docomo, Vodafone, Idea, Videocon, Uninor and Reliance ki jankari pa sakte hai. Agar aapke pass inke aalawa koi code hai to muje jarur bataye.

WhatsApp Hack kaise kare or WhatsApp Hack se Kaise Bachaye [6 Tarike]

WhatsApp Messenger jo sabse popular Mobile Messaging Application hai jo lagbhag har Smart Phone me Install hai, Jisme Rojana caroro log message send or recive karte hai.
Agar kisi ka Personal Data pata karna hai to WhatsApp bhi uska ek jaruya ho sakta hai q ki ham uspar bhut se aesi chije share karte hai jo kisi ko pata chal jaye to usse hamara nuksan ho sakta hai. Simple sabdo me kahe to agar hamara Whatsapp hack ho jaye to ham musibat me pad sakte hai..
Aaj ham is post me dekhege ki kaise ham WhatsApp ko Hack kar sakte hai or kaise Dusro se apne WhatsApp ko hack hone se bacha sakte hai. Jo Hacker hai wo hamara koi Dost ya fir hamara Family member ho sakta hai..
Ye bhi pade:

Kaise Hack kare WhatsApp or Kaise Bachaye WhatsApp ko Hack hone se Uske Tarike

Tarika 1: Hack WhatsApp Account OTP SMS conform karke

Jese ki aap jante ho hoge OTP ke conform kare ham WhatsApp use kar hi nahi sakte.. jan ham Whatsapp install karke apna Mobile Number register karte hai to hamare mobile par ek SMS aata hai jisko hame whatsapp me dalna hota hai.. Jab hamara whatsapp account chalu hota hai. To Agar koi aapka Whatsapp is trha hack karna chata hai to usko sirf us SMS ki jarurat hai jo aapke mobile par aaya hai conformation ke liye.

Kaise Bachaye WhatsApp SMS Hack se

  • Acha sa Antivisrus Install karke rakhe Mobile me
  • Hamesa Mobile me PIN ya Pattern Lock laga kar rakhe.
  • Lock Screen par SMS Notification Off karke rakhe.
  • Applock use kare SMS App ke liye.

Tarika 2: Hack WhatsApp Call Verification se

jo upar wali trick hai agar wo kaam nahi karti to jo hamara whatsapp hack karna chat hai wo Call Verification ko select karke call se bhi hamare whatsapp account ko verify karke hack kar sakta hai.. Ye karne ke liye usko sirf 15 second ke liye hamara Mobile chaiye, jo aasani se le sakta hai kuch bhi kha kar ki muje ek call karna hai..

Kaise Bachaye WhatsApp Call Hack se

  • Apne Mobile me Incoming Call Lock App install karke rakhe. Is App ki madad se agar hamara Mobile open bhi hai fir bhi agar call aata hai to uske liye lock lag jata hai jisko open karke hi call receive kar sakte hai.

Tarika 3: Monitor Screen or Spy Apps

Internet par bhut se aese App or software uplabd hai jinki madad se hamare dost ya fir hamare family member aasani se install karke hamare Whatsapp ko kahi se bhi manage kar sakte hai.

Kaise Bachaye WhatsApp ko Spy apps se

  • Mobile me check kare koi aesa App to install nahi hai jiske bare me aapko pata na ho ki ye kya hai.. aese App ko uninstall karde.
  • Agar aapka Mobile Rooted hai to aap apne mobile me permission manager app use kare or jitne bhi app hai unko kya kya permision dena hai wo set karke rahhe.

Tarika 4: WhatsApp Messages ka Backup

Is Tarike me hamare jo Whatsapp Message hai unko backup le kar kahi bhi send kar sakte hai.. EMail, Google Drive bagera par.. to agar aapka mobile kisi ke pass thodi der bhi chala gaya or usme whatsapp open hai to wo aapke whatsapp ke message ka backup apne email par send kar sakta hi.. jo baad me wo aasani se pad sakta hai or hamari personal information ko aasani se hasil kar sakta hai.

Kaise Bache is trha ke WhatsApp Hack se

  • Apne Email ko check kare kahi kisi email par koi mail to send nahi kiya kisi se.
  • App Lock use kare Whatsapp or Mail App ke liye.
  • Phone me Pattern Lock laga kar rakhe.

Tarika 5: Phone ko Remotely Control karke WhatsApp Hack kare

Is Tarike me hamara jo phone hai uski screen ham dusri jagh abhi dekh sakta hai.. Computer me bhi or ham apne mobile ko computer ki madad se bhi chala sakte hai.. uske liye kuch App hai jo agar mobile me install ho to aasani se mobile ko computer se chala sakte hai or uski puri chijo ko dekh sakte hai.
Teamviewer Quick Support and Airdroid do badiya App hai Mobile ko compouter se connenct karne ke liye.

Kaise Bache is trha WhatsApp Hack hone se

  • Mobile me pattern Lock on karke rakhe.
  • Agar koi aesa App dikhe jisko aapne install nahi kiya or aap usko use nahi karte ho usko uninstall karde.
Ye Bhi Pade:

Tarika 6: Whatsapp Web ki madad se Hack kare

Whatsapp Web, whatsapp ka new future hai jiski madad se Computer me bhi ham whatsapp ko chala sakte hai..
Computer me whatsapp chalane ke liye hame computer me web.whatsapp.comopen karna padta hai.. fir hamare mobile me whatsapp ke app se uske QR Codeko scan karna hota hai.. uske baad hamare whatsapp ke message computer me bhi dikhne lagte hai.
To agar kisi ke pass hamara mobile chala jaye to ho sakta hai wo uske computer me hamare whatsapp app se QR Code scan karde.. uske baad wo hamare whatsapp ke sare Message send or recive kar sakta hai.

Whatsapp Web Hack se kaise Bache

Isse bachne ke liye hame apne WhatsApp Application me check karna hai ki kahi or login to nahi hai.. or agar login hai to ham apne mobile se hi usko logout kar sakte hai.
Bonus Tip: Aapke Whatsapp ko koi dusre Mobile me install karke naa use kar paye, uske liye Whatsapp me 2 Step Verification Enable kare.
Aapne ye to jaan liya kaise Whatsapp Hack se Bach sakte hai, ab ye bhi jaan lijiye Whatsapp ko Hack kaise kare.
To Dosto aapko ye jankari kesi lagi comment karke bataye, or agar aapke pass inke aalawa bhi koi tarika hai jisse Whatsapp ko Hack kiya ja sakta hai to Comment me jarur bataye..
Agar aapka bhi kabhi Whatsapp account hack huaa hai to kaise huaa wo bhi share kare.. taki baki log bhi apne whatsapp account ko hack hone se bacha sake.

Wednesday, 20 September 2017

Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye in Hindi

Kya aap ye jaanna chate hai ki online paise kaise kamaye, Aap agar Online paise kamana chate hai to ye jaankari aapke liye bhut badiya sabit hone wali hai. Isme me aapko bataoga ki ham kaise Google Adsense se Paise kama sakte hai or uski kya process hai.
Online Internet se Paise kamana bhut logo ka sapna hota hai or hajaro lakho log uske liye tri bhi kar rahe hai, bhut log online kaam karke bhut acha paisa kama hi rahe hai.
Is Post me ham dekhege ki ham kaise Google Adsense se Paise kama sakte hai detail me.

Google Adsense kya hai or Isse Paise Kaise Kamaye Jata Hai

Google Adsense ek free service hai Google ki, jisme content publishers apne content ko monetize karke paise kama sakte hai. Google Adsense se paise kamane ke liye koi BlogWebsiteYoutube Channel hona chaiye, matlan ham khe sakte hai ki koi bhi online platform hona chaiye hamare pass.
Google Adsense hamesa se logo ki pheli pasand rahi hai online paise kamane ki, uske karan bhi hai ki usko istmal karna, manage karna bhut aasan hai or sabse main baat jo adsense me income hoti hai to time par aati hai or kisi farjiwade ka bhi koi khatra nahi.
Google Adsense se start karne ke liye sabse phele aapke pass koi online platform hona jaruri hai jispar aap adsense ki madad se paise kamayege, To sabse phele Apna Blog banaye ya fir Youtube channel banaye.
Ab Google Adsense ke liye apply kare, fir jab adsense account approve ho jayega to aap adsense me Ads Code generate karke apne blog me lagaye. fir Aapke blog me ads dikhege to jo bhi visitor aapke blog par aayege wo agar ads par click karege to usse aapki income hogi. Jitne jada visitor utni jada income.

Dhiyan dene wali baat

Agar aap ye soch rahe hai ki ye bhut aasan hai or isme jaldi bhut sara paisa kama sakte hai to aap galat soch rahe hai q ki ye koi jaldi amir banne ka tarika nahi hai. Agar aapko paise kamana hai to aapko kaam to karna padega..
Agar aap soch rahe hai ki me apne blog par ads laga kar apne friends ya relative se kheduga ki wo ads par click kare to isse aapka adsense account block ho sakta hai, to aesa karne ka soche bhi nahi. Agar ek war adsense account disable ho gaya to usko wapas pana bhut muskil hota hai.

Google Adsense se Paise Kamane ke Liye Kya Kare

Sabse phele aapko Adsense se paise kamane ke liye aapke pass koi platform hona chaiye, jese koi blog, website ya fir youtube channel. agar aapke pass ye phele se hai to achi baat hai or agar nahi hai to kaise banate hai uski jankari mene HMH.pe di hui hai.
Abhi me aapko 3 Platform bataoga jaha aap adsense se paise kama sakte hai, jo Free bhi hai or agar aap thoda investment kar sakte hai to or jada future bhi aapko mil sakte hai.

1: Blogger Par Free Blog Banaye

Blogger Google ki Service hai jo bilkul free hai or ham iski madad se apna Free Blog bana sakte hai. Blog kaise banaye Blogger par uski jankari yaha hai.
Blogger ki jankari ke liye yaha jaye.

2: WordPress par Blog banaye

WordPress bhi ek blog platform hai, jiski madad se ham apna blog ya website bana sakte hai. Duniya me jitni bhi website hai usme se 21% website wordpress par hi bani hai.
WordPress ki jankari ke liye yaha jaye.

3: Youtube Channel banaye

Youtube Google ki service hai or ye bhi bilkul free hai or Youtube ek Video website hai jispar aap video upload kar sakte hai or video dekh bhi sakte hai.
Youtube par video upload karke, video ko monetize karna hota hai fir video ke upar ads aate hai or usse hamari income hoti hai. jo ads aate hai wo Google adsense se hi lagaye jate hai.

Youtube ki jankari ke liye yaha jaye.

Aage kya karna hai..

Ab aapke pass Platform hai jaha aap adsense se paise kamayege.. Youtube par to aapko apne video upload karke adsense ke liye apply kar sakte hai par agar aapka blog hai to aapko apply karne ke phele kuch bate hai jo diyan me rakhni hai or uske baad hi apply karna hai adsense account ke liye.
Adsense se jo income hoti hai wo dusre kisi bhi ads network se jada hoti hai, fir bhi bhut log adsense se paise nahi kama pate uske kya karan hote hai wo jaanne ke liye yaha click kare

Adsense ki income kaise badaye

Agar aapne sab kuch sahi se kiya or aapke adsense ke ads bhi dikhne lage to fir aapko apni income badane par focus karna hai, uske liye aapko high quality post dalni hogi or usme High CPC keyword ka use kare..
Agar aapki Blog hai to Aap Blog me search ke liye Google Custom searchuse kare or usme aap adsense ke ads enable karke apni adsense ki income bada sakte hai.
1000 Visitor Per Google Adsense Se Kitni Income Hoti Hai uski jankari yaha hai, jisse aap andaja laga sakte hai ki aap usse kitne paise kama sakte hai, or agar aap ye soch rahe hai ki aap isse kitne paise kama sakte hai to wo jaanne ke liye yaha click kare

At Last

Friends ye Jankari Google Adsense ki aapko clear ho gai hogi ki akhir adsense hai kya or isse aap kaise paise kama sakte hai. Agar aapka koi sabal hai to aap comment me puch sakte hai.

Net se Ghar Baithe Paisa Kamane ka Sabse Aasan Tarika in Hindi

Hello Friend, Aap ye to jaante hi hoge Internet ka istmaal kitna badta ja raha hai, aaj kal har kaam Internet se hoja hai. Mobile Net se recharge ho jata haiOnline ham Shopping kar sakte hai, Online Result dekh sate hai, or bhi Bhut Kuch..
Internet ka jis trha se istmaal badta jaa raha hai agar aesa hi raha to thode time baad sare kaam Internet ki hi madad se hoge. Q ki Internet har chij ko aasani se kr sakte hai. Online Paise kamane ke option bhi badte jaa rahe hai . Ham Internet ki Madad se Ghar Baithe Aasani se paise kama sakte hai.
Internet se paise kamane ke to bhut tarike hai par aaj me aapko 2 tariko ke bare me bataoga jinki madad se me paise kama raha hu or inme koi risk bhi nahi hai.
Kaise Net se Paisa kamaye usse phele..

kuch comman sabaal hai unke jabab jaan lete hai

Que 1. Kya Net se paise kama sakte hai, isme koi risk to nahi?
Ans. Haa, Aap bilkul kama sakte hai aasani se. or agar risk ki baat kare to Internet par bhut si sites farji bhi hai jo aapke sath dhoka kar sakti hai, isliye aapko sabdhaan rahna hoga.
Que 2. Net se Paise Kamane ke liye koi Degree ki jarurat padti hai?
Ans. Net se paise kamane ke liye koi Degree ki Jarurat nahi padti, Par haa Aap net se jabhi paise kama sakte ho jab aapka Interest(lagav). Maan lijiye aapko Khana banane me interest hai to aap uski website banakar apni recipes ko uspar daal sakte hai.
Que 3. Net se kitne Paise kama sakte hai?
Ans. Net se kitne paise kama sakte hai ye sabaal mujse mera har milne wala puchta hai, mumkin hai aapka bhi ye sabaal ho. iska sidha Jabaab hai – Koi Limit nahi hai Internet se Paisa kamane ki. Iska karan ye hai ki ye koi Job nahi ye ek Business hai jisme aap lakho-croro bhi kama sakte ho ya fir ho sakta hai kuch bhi naa kamao. par yaha par faida ye hai ki aapko koi ghata nahi hoga or kuch na kuch naya sikhne ho hi milega.
Que 4. Kya Mobile ki madad se paise kamaya ja sakta hai ya Computer bhi jaruri hai ?
Ans. Ye Sabaal bhi mujse sabse jada baar pucha jata hai, me iska jaabab de-de kar thak chuka hu. Par isme Puchne wale ki bhi koi galti nahi hai, Q ki uske pass sirf Mobile hota hai. Mobile se paise kamaye ja sakte hai par mahine bhar me sirf itne ki aapka Mobile ka kharcha nikal sake bo bhi badi mhanat karke, Matlab Simple sabdo me kahu to aapko Computer ki Jarurat padegi hi. Agar Aapke Pass Computer nahi hai to niras hone ki jarurat nahi hai Aap Net Cafe(इंटरनेट कैफे) par jaa kar apna kaam kar sakte ho.
Mere Ek Friend ki Sachi Khani – Mera ek dost hai jiske pass Computer nahi tha or uske ghar ki bhi condition aesi nahi thi ki wo Computer or Net Connection le sake to usme Net Cafe par apni pheli website banai thi, or wo itnii jada chalne lagi ki ek compay ne usko kaha ki bo unki ek website banaye, par jab usne company ko mana karte huee kaha ki wo nahi bana sakta Q ki usko pass computer nahi hai to company ne usko Paise ke sah ek Laptop Gift diya site Banbane ke liye. Isse ye sabit hota hai ki agar aapke andar koi bhi talent hai to aapko koi nahi rok sakta.

Internet se Paisa Kamane ki Surubaad kaha se kare

Internet se Paise Kamane ke bhut tarike hai, Par Me Aapko Mere ManPasand 2 tariko ke bare me aapko bataoga jinse me kama raha hu or uske bare me mene bhut si detail Post bhi Dali hai apni site par.
  1. Blogging
  2. Youtube
Internet se Ham jab hi paisa kama sakte hai, jab ham apni pasand ka kaam kare, Q ki agar aapka interest nahi hai to aap us kaam ko sahi se nahi kar paoge is karan aap usme success nahi ho sakte.
Sabse phela kaam hai apna Interest Dekhe kis chij me sabse jada hai or aapko kya pasand hai. Jese me kuch topics aapko batata hu –
  • Khana banana
  • Comedy
  • Singing/Acting
  • Technology
  • Tip and Tricks
  • Product ke Review
  • Story’s
  • Home Decoration
  • Sports (Cricket, FootBall ….)
  • inke aalawa bhi or koi pasand ho sakti hai aapki….

Aapna Interest Sabse Jada Kisme Hai Pata karne ke liye kya kare

Sabse phele apne Dimag par jor laga kar Soche ki aapko kis chij me sabse jada interest hai or aapko kya karna pasand hai bo dekhe. Har Insan ki Alag Alag pasand hoti hai. Ummid hai aapko bhi koi Topic mil jayega, kam se kam 3 topic select kare jinme aapko acha lagta hai or aap usi ke jariye Paise kamana chate ho.
Mera Internet me or Logo ki Help karne me Interest hai, to me Logo ki Internet par Help kar raha hu or uske jaruye paise bhi kama raha hu.
3 topics me se kisme sabse jada interest hai uska pata lagane ke liye – Ek Copy le or Apne Mobile me timer lagaye 10 minute ka or har topic par 10 minute tak kuch bhi likhe jo aapko uske bare me pata hai. jo bhi sabd aapke dimag me aaye us topic se related aap likhte jaye, 10 minute tak bilkul naa ruke or agar aesa hota hai ki aapke dimag me 10 minute ke phele hi naye sabd aana band ho jate hai to uska time note karle. Issi trha tino topics ka kare, fir jisme sabse jada or badiya aapne likha ho wo topic select kare apne liye.
To is trick ki madad se aap apna Interest jaan chuke ho. To Ab aap apni Website (Blog) bana sakte ho, Ya fir Aap Youtbe se bhi paise kama sakte ho.

1: Blogger se Paise Kaise Kamaye Ghar Baithe

Sabse Phele aapko Apna BLog banana hai, Blogger.com sabse saral or sabse best hai is kaam ke liye. Blog kaise banaye ye jaanne ke liiye yaha click kare.
Blog banane ke baad aapko uspar Badiya Post daalni hai Pheli Post kaise Dale uski Basic jaankari yaha hai. Post ko sahi tarike se Arrange kare.
Post me Apni Dusri Post ki Link or kam se kam ek Image jarur add kare. 1 Image 1000 sabd ke barabar hoti hai, to jaha par bhi Image ki jarurat ho jarur add kare.
Apne Blog ko badiya Design kare or usme ek badiya Template Upload kare, or Widgets bhi add kare.
Apne Blog ki Traffic badane ke liye FacebookTwitter, Google+ Pagebanaye, or inka widget bhi apne blog par add kare. Aap jab bhi Post kare Social Sites par jarur Share Kare.
Blog SEO bhi jaruri hai Search me aane ke liye –

Ab Baat aati hai Paisa kaise kamate hai Blog se –

Aapne Apna Blog bhi bana liye or uspar badiya tarike se Post bhi Daaldi, Blog ko Badiya Design bhi kar diya. Blog par Visitor bhi badiya aa rahe hai. to ab aap paise kamane ke liye bilkul teyaar hai.
Blog se Paise kamane ka sabse badiya tarika hai Adsense, Par inke Niyaam bhut kadak hai or badi muskil se hamara account ispar approve hota hai. Pade – 11 tarike Adsense account ko Approve karbane ke. Adsense Approve hone ke baad aap uske ads code apne blog par laga kar paise kama sakte ho. Jese aap dekh sakte ho meri site par bhi lage huee hai.
Par Adsense Approve hona bada muskil hai or jarasi galti ki baja se Account approve nahi hota hai to aap Bidvertiser ka istmaal kar sakte hai. Bidvertiser me Adsense se thoda kam paise milta hai, par kuch nahi se to kam hi sahi
Ye Kuch Ads Network:

2: Youtube se $ Dollar kamao Ghar Bheate

Youtube ke bare me mene ek post me bataya hai kaise youtube se paise kamaye video bana kar. Youtube ek video sharing site hai jis par ham apne video ko upload karke duniya se share kar sakte hai or video par ads laga kar video se paise bhi kama sakte hai.
Youtube se Paise kamana Suru karne ke liye aapko Phele Youtube ko Adsense se connect karna padega kaise kare yaha pade.
Inke Aalawa me aage or detail me bhut si jaankari share karne wala hu Youtube or Blogger ke bare me jisse aap inka istmaal aasani se kar sakte or jada se jada paise kama sakte.
HMH par Blogger or Youtube ki Puri Post pade.
Agar aapka koi Sabal hai to Comment me jarur puche or agar aapke pass koi Suggestion hai HMH ke liye to usko bhi jarur bataye, kaise HMH ko or badiya banaya ja sakte hai aap ke liye

1000 Visitor Per Google Adsense Se Kitni Income Hoti Hai

Blogging karne ka maksad 98% se jada logo ka paise kamana hi hota hai.. or Bhut Log ache paise kama bhi rahe hai.. Par jo Blogging me naye hai unke dimag me bhut se sabal or confusion aate hai earning se sambandit jese Agar site par 1000 Visitor aaye to kitni Earning hogi ya ho sakti hai..
Blog se earning karne ke liye ham ads lagate hai apni site par.. Bhut se Advertiser Network hai jinke ads ham laga sakte hai jese BidvertiserRevenuehits .. Par sabse acha hai Adsense, par uska account aasani se approve nahi hota, adsense apply karne se phele ye kuch bate jo aapko pata hona chaiye.
Ham is post me adsense ki earning ki hi baat karege, or janege ki adsense ke ads agar lage huee hai site par to 1000 Visitor par kitni income ho sakti hai.
1000 Visitor se kitni earning ho sakti hai wo jaanne se phele ham ye jaan lete hai ki Ads se earning hoti kaise hai or kis hisab se hame paise milte hai.

Adsense Ads se kaise hoti hai Earning

Ham jo adsense ke ads apni site par lagate hai, or Jab koi Visitor hamari site par aata hai or wo Ads ko dekhta hai ya fir Click karta hai to usse hamari earning hoti hai.
Jo hamari earning hoti hai wo visitor ke aane se nahi, balki jo ads hai jo 1000 visitor aane par 1000 par dikhe hai, ab un 1000 bar me se kitni par ads par click huaa or hame kitna CPC (Cost Per Click) mila un ads ka uspar nirbhar karta hai.
Or achi se samajne ke liye chaliye thodi Calculation karte hai –
  • CPC (Cost Per Click) – ek Ads Click par kitna mil raha hai wo.
  • CTR (Click Through Rate) – isko Percentage % me bataya jata hai ki kitne log ads par click kar rahe hai.. jese agar 100 logo me se sirf 5 logo ne click kiya to CTR 5% hoga.
To ab ye to clear huaa ki earning ads par click karne par hogi or un click par kitna commission mil raha hai wo bhi nirbhar karta hai Earning me.

CPC Kis Hisab se Milta hai

Jab koi ads per Click karta hai to uska commission bhut si bato par nirbhar karta hai.
  1. Website ka Topic
  2. Country
  3. Language
  4. Ads Type
inke aalawa bhi bhut si bate hai jinki points hai jinki baja se CPC kam jada ho sakta hai.

#1 Blog ka Topic

Ye sabse Main karan hai hame jo CPC milta hai uska, Q ki jo ads hai wo ussi se sambandit aate hai.. to agar koi aesa topic rahega jiska CPC High hai to hame bhi ads par click karke ka acha commission milta hai.
Ye kuch acha CPC wale Topic –
  • Education Niche
  • Health Care Niche
  • Insurance Niche
  • Online Money Making Tips Niche
  • Technology Niche
  • Web Design Niche
  • Domain & Hosting Niche
  • Blogging Tutorial Niche
  • Business Niche

#2 Visitor Location

Jo Visitor hai wo kaha ka hai usse bhi CPC par fark padta hai, Agar visitor Asia Country jese India, Pak, Nepal se hai to CPC kam milega or bahi agar US bagera se hai to jada.

#3 Language

Bhasa se bhi CPC me fark padta hai, Q ki English jada log jante hai to English ke ads bhi jada hote hai to uska thoda jada milta hai dusri bhasa se compare kare to.

#4 Ads Type

Ads kis Type ka aa raha hai wo bhi hamare earning par asar karta hai.. Jo ads hai wo 2 tarike se aate hai ek to hamne jo post dali hai usme jo sabd use kiye gaye hai usse sambandit ads aayega ya fir jo Visitor hai agar wo kisi site par gaya hoga phele to us site ke ads aa sakte hai.. To agar jo Visitor hai wo kisi aesi site par gaya hoga jo acha CPC deti hai to hamari income bhi achi hogi ya fir kam hogi..
To ab aapko ye to clear ho gaya hoga ki jo ek click ka paisa jo hame milta hai wo kaise milta hai or kis hisab se milta hai..

Chaliye ab ek Calculation kar lete hai ki 1000 Visitor par hamari kitni income ho sakti hai.

Earning me CPC or CTR jaruri hai..
1: CPC koi fix nahi hai or wo bhut si chijo par nirbhar karta hai par ham average maan lete hai ki hame $0.10 mil raha hai.. ho sakta hai isse jada ya fir kam mile.
2: CTR maan lete hai ki 5% hai.. matlab 100 log me se 5 click kar rahe hai to 1000 me se 50 log click karege ads par. ho sakta ho 5% se bhi kam ho CTR..
To ab jo CTR hai or Average CPC hai usko multiply karne par kitni income hogi wo aa jayegi.
CPC * CTR = Earning
$0.10 * 50 Click = $5 Earning
Matlab ye hai ki agar 1000 visitor me se 50 ads par click karte hai or jo CPC hai wo $0.10 mile to hamari income $5 ho sakti hai.. Ab ye jo $5 hai wo kam ya jada bhi ho sakti hai agar kisi bhi value me thoda bhi change hota hai to.. or ye fix to hai nahi ki itna hi milega.
Ab aapko Clear ho gaya hoga ki sirf visitor ke aane se earning nahi hogi.. jo ads hai unpar click karne se income hogi..
Agar adsense se achi income karni hai to uska sirf ye tarika hai ki ads ko sahi se site me laga kar ache contant dale jaye jisse jada se jada visitor hamari site par aaye or hamari income achi ho..
bhut log Adsense se 1$ bhi nahi kama pate agar aapko janna hai Q Log Adsense se Income nahi kar pate, to aap isko jarur read kare.
Must Read:
Ummid hai aapko Adsense ki ye jankari samaj aa gai hogi, iske aalawa bhi agar aapka koi sabal hai adsense se sambanditto aap comment karke puch sakte hai.

BidVertiser se Paise kaise kamaye blog or website par

BidVertiser (A Division off Bpath,LTD) ek bhut purani PPC (pay par click) ki site hai jo 2003 me start hui thi Adsense ke lagbhg sath me. ...